ab rahā kyā hai jo ab aa.e haiñ aane vaale
jaan par khel chuke jaan se jaane vaale
ye na samjhe the ki ye din bhī haiñ aane vaale
uñgliyāñ ham pe uThā.eñge uThāne vaale
kaun samjhā.e na iThlā ke sar-e-rah chaliye
haiñ ye andāz gunahgār banāne vaale
pūchhne tak ko na aayā koī allāh allāh
thak ga.e paañv kī zanjīr bajāne vaale
kahīñ ronā na paḌe tujh ko zamāne ke saath
are o vaqt kī jhankār par gaane vaale
aap andāz-e-nazar apnā badalte hī nahīñ
aur bure bante haiñ bechāre zamāne vaale
pūchhtī hai dar-o-dīvār se bīmār kī aañkh
ab kahāñ haiñ vo mire naaz uThāne vaale
ba-ḳhudā bhuul ga.e apnī musībat 'bismil'
yaad jab aa.e mohammad ke gharāne vaale