ye but phir ab ke bahut sar uThā ke baiThe haiñ
ḳhudā ke bandoñ ko apnā banā ke baiThe haiñ
hamāre sāmne jab bhī vo aa ke baiThe haiñ
to muskurā ke nigāheñ churā ke baiThe haiñ
kaleja ho gayā zaḳhmī firāq-e-jānāñ meñ
hazāroñ tīr-e-sitam dil pe khā ke baiThe haiñ
tum ek baar to ruḳh se naqāb sarkā do
hazāroñ tālib-e-dīdār aa ke baiThe haiñ
ubhar jo aatī hai har baar mausam-e-gul meñ
ik aisī choT kaleje meñ khā ke baiThe haiñ
ye but-kada hai idhar aa.iye zarā 'bismil'
butoñ kī yaad meñ bande ḳhudā ke baiThe haiñ
pasand aa.egī ab kis kī shakl 'bismil' ko
nazar meñ aap jo us kī samā ke baiThe haiñ