saarī ummīd rahī jaatī hai
haa.e phir sub.h huī jaatī hai
niiñd aatī hai na vo aate haiñ
raat guzrī hī chalī jaatī hai
majma.a-e-hashr meñ rūdād-e-shabāb
vo sune bhī to kahī jaatī hai
dāstāñ puurī na hone paa.ī
zindagī ḳhatm huī jaatī hai
vo na aa.e haiñ to bechain hai ruuh
abhī aatī hai abhī jaatī hai
zindagī aap ke dīvāne kī
kisī sūrat se kaTī jaatī hai
ġham meñ parvānoñ ke ik muddat se
sham.a ghultī hī chalī jaatī hai
aap mahfil se chale jaate haiñ
dāstāñ baaqī rahī jaatī hai
ham to 'bismil' hī rahe ḳhair huī
ishq meñ jaan chalī jaatī hai