Bismil Azimabadi

nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
nigāh-e-qahr hogī yā mohabbat kī nazar hogī
maza de jā.egī dil se agar ai sīm-bar hogī
tumheñ jaldī hai kyā jaanā abhī to raat baaqī hai
na ghabrāo zarā Thahro koī dam meñ sahar hogī
abhī se saare aalam meñ to ik andher barpā hai
na jaane kyā ġhazab Dhā.egī jab ye tā-kamar hogī
na lā.egī to kyā bechain bhī un ko na kar degī
hamārī aah kyā kam-baḳht itnī be-asar hogī
ham us ko dekh leñge aur vo ham ko na dekhegī
nigāh-e-yār kyā mahfil meñ itnī be-ḳhabar hogī
chalā jaatā to huuñ maiñ bahrūp ban kar un kī mahfil meñ
kahūñgā kyā rasā.ī gar kahīñ muñh dekh kar hogī
nigāh-e-lutf se dekhegā mujh ko ik jahāñ to kyā
agar tum dekh loge merī qismat arsh par hogī
asīrī meñ bhī yād-e-gul karegī is tarah bulbul
qafas ke dar pe sar hogā, su-e-gulshan nazar hogī
jo be-jurmī pe bhī 'bismil' ko tum ne kar diyā bismil
batāoge bhalā kyā hashr meñ pursish agar hogī
Top Urdushayar.com