Bismil Azimabadi

na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
na apne zabt ko rusvā karo satā ke mujhe
ḳhudā ke vāste dekho na muskurā ke mujhe
sivā.e daaġh milā kyā chaman meñ aa ke mujhe
qafas nasīb huā āshiyāñ banā ke mujhe
adab hai maiñ jo jhukā.e hue huuñ aañkh apnī
ġhazab hai tum jo na dekho nazar uThā ke mujhe
ilāhī kuchh to ho āsān naza.a kī mushkil
dam-e-aḳhīr to taskīn de vo aa ke mujhe
ḳhudā kī shaan hai maiñ jin ko dost rakhtā thā
vo dekhte bhī nahīñ ab nazar uThā ke mujhe
mirī qasam hai tumheñ rahravān-e-mulk-e-adam
ḳhudā ke vāste tum bhūlnā na jā ke mujhe
hamārā kaun Thikāna hai ham to 'bismil' haiñ
na apne aap ko rusvā karo satā ke mujhe
Top Urdushayar.com