Shaikh Meer Bakhsh Masroor

saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh

Shaikh Meer Bakhsh Masroor

saaqī mai-e-gul-rañg mire lab se milā dekh
jis vaqt bahakne maiñ lagūñ tab tū maza dekh
gar dekhnā hai bulbul-e-nālāñ kā tamāsha
to bād-e-sabā baaġh meñ tū gul ko hañsā dekh
bigḌī hai shab-e-vasl to vo mujh se kahe hai
ab kī to badan ko tū mire haath lagā dekh
pīchhā tirā chhoḌeñ na kabhī bosa liye bin
do roz ham aisoñ ko zarā muñh to lagā dekh
kyā fā.eda gar us ke dil-o-jāñ kā zarar ho
'masrūr' ko yuuñ ḳhuuñ na rulā rañg-e-hinā dekh
Top Urdushayar.com