din vasl ke ranj-e-shab-e-ġham bhuul ga.e haiñ
ye ḳhush haiñ ki apne ta.iiñ ham bhuul ga.e haiñ
un va.ada-faroshoñ se kyā kījiye shikva
khā khā ke mire sar kī qasam bhuul ga.e haiñ
jis din se ga.e apnī ḳhabar tak nahīñ bhejī
shāyad hameñ yārāna-e-adam bhuul ga.e haiñ
kaaTī haiñ mahīnoñ hī tirī yaad meñ rāteñ
ġhaflat meñ tujhe gar koī dam bhuul ga.e haiñ
yā rāhat-o-ranj ab hai musāvāt hamīñ ko
yā aap hī kuchh tarz-e-sitam bhuul ga.e haiñ
kuchh hosh Thikāne hoñ to leñ naam kisī kā
ham de ke kahīñ dil kī raqam bhuul ga.e haiñ
go barsar-e-parḳhāsh hai 'masrūr' se tū ab
kyā us ko tire lutf-o-karam bhuul ga.e haiñ