Shanti Lal Malhotra

dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan

Shanti Lal Malhotra

Shorkot, Punjab, Pakistan

1938
dil ko nasīb soz-e-ġham-e-gulsitāñ kahāñ
hotā to aaj hotā ye dard-e-nihāñ kahāñ
zauq-e-bahār hī hai na ḳhauf-e-ḳhizāñ mujhe
gum-sum hai apne haal meñ tab-e-ravāñ kahāñ
jis se guloñ ke zabt kā dāman ho taar taar
hai andalīb terā vo zauq-e-fuġhāñ kahāñ
ho jaa.e ab na ḳhatm fasāna firāq kā
haiñ nūr-e-sub.h raat kī nairañgiyāñ kahāñ
le jā.egī sabā mirā paiġhām tū magar
hogā subuk havā se mizāj-e-garāñ kahāñ
le aa.e toḌ toḌ ke taare falak se ham
lekin nasīb quvvat-e-husn-e-bayāñ kahāñ
'shādāñ' na DhūñDh arsa-e-ġhurbat meñ āsare
is meñ chaman kī arzish-e-arz-o-samāñ kahāñ
Top Urdushayar.com