Shanti Lal Malhotra

kahani meri barbaadi ki jis ne bhi suni hogi

Shanti Lal Malhotra

Shorkot, Punjab, Pakistan

1938
kahānī merī barbādī kī jis ne bhī sunī hogī
nazar meñ us ke ik tasvīr-e-hairat khiñch ga.ī hogī
satā lo jis qadar chāho adāoñ se jafāoñ se
qasam khātā huuñ gar hogī tumhīñ se dostī hogī
vafā ko bhī mirī hamdam jafā hī jo samajhte haiñ
mujhe ma.alūm hai ik din unheñ sharmindagī hogī
are nādān tujh ko kaash ye ma.alūm ho jaatā
ki terī dushmanī hī merī vaj.h-e-dostī hogī
bahāroñ meñ junūñ ne de diyā mujh ko yaqīñ itnā
mirī dasht-e-junūñ meñ bhī tumhārī rahbarī hogī
shikan bistar ke kahte haiñ marīz-e-hijr ko hamdam
taḌapne kī thakan se niiñd āḳhir aa ga.ī hogī
are 'shādāñ' mohabbat ke nirāle taur hote haiñ
jise tum husn kahte ho vo va.jh-e-be-ḳhudī hogī
Top Urdushayar.com