sū-e-manzil koī kārvāñ luT gayā
kis kī ummīd kā ye jahāñ luT gayā
tū ne uf tak na kī dekhtā rah gayā
tere kūche meñ ik kārvāñ luT gayā
koī hasrat na gulchīñ ke dil meñ rahī
phuul murjhā ga.e gulistāñ luT gayā
tum to hushiyār the kyuuñ hue be-ḳhabar
dil to nādān thā nā-gahāñ luT gayā
koī aa.e madad ke liye ab mirī
gul-ruḳhāñ luT gayā mah-vashāñ luT gayā
hai shikāyat tujhī se mire mehrbāñ
pesh darbāñ tirā mehmāñ luT gayā
shaiḳh bhī kitnā 'shādāñ' balā-nosh thā
bātoñ bātoñ meñ pīr-e-muġhāñ luT gayā