Shanti Lal Malhotra

un aankhon mein humne haya dekh li hai

Shanti Lal Malhotra

Shorkot, Punjab, Pakistan

1938
un āñkhoñ meñ ham ne hayā dekh lī hai
nirālī sī tarz-e-jafā dekh lī hai
tumhāre nahīñ bas meñ kuchh ai tabībo
davā ham ne sabr-āzmā dekh lī hai
na aa.egā koī nazar meñ hasīñ ab
tire husn kī intihā dekh lī hai
karūñ naaz qismat pe jitnā bhī kam hai
kanakhiyoñ kī terī adā dekh lī hai
ḳhizāñ meñ qafas se milī kyā rihā.ī
ḳhatāoñ kī saarī sazā dekh lī hai
na saanī milā koī apne chaman kā
zamāne kī saarī fazā dekh lī hai
masarrat ke aalam meñ gum-sum hai 'shādāñ'
tirī rahguzar us ne kyā dekh lī hai
Top Urdushayar.com