bezār phir na hoñge kabhī zindagī se ham
ho leñ tire qarīb jo ḳhush-qismatī se ham
ai kaash ham bhī hote kabhī itne ḳhush-nasīb
ġham bāñTte kisī kā to hañste kisī se ham
tum ne bulā liyā to chale aa.e bazm meñ
kab chāhte the qurb-e-harīfāñ ḳhushī se ham
anjām-e-tūr aaj bhī apnī nazar meñ hai
ġhash khā na jaa.eñ aap kī jalvagarī se ham
jī chāhtā hai rāz-e-dil-e-gil to kuchh khule
bulbul kī baat pūchh leñ jā kar kalī se ham
nāz-o-niyāz ishva-o-ġhammāziyāñ na siikh
ai husn kah rahe haiñ dil-e-āshiqī se ham
'shādāñ' kī hai sadā kī palaT aa.e inqalāb
aajiz nahīñ haiñ aaj bhī farmāñ-dahī se ham