kisī ke lab pe bhole-pan se merā naam hai shāyad
mirī bechārgī se phir kisī ko kaam hai shāyad
ye halchal sī machī hai aaj jo saare zamāne meñ
sunā hai kuchh hamāre vāste paiġhām hai shāyad
tumheñ bhī raas aa.e yā na aa.e aaj kā aalam
tumhārā bhī hamārī hī tarah anjām hai shāyad
zamāne ko nahīñ bhāyā mirā ḳhāmosh sā rahnā
ḳhamoshī bhī mirī ab morid-e-ilzām hai shāyad
na kaalī raat kaTtī hai na raushan din guzartā hai
kisī se dil lagāne kā yahī anjām hai shāyad
asar kartā agar naala to patthar mom ho jaatā
abhī jazb-e-mohabbat hī hamārā ḳhaam hai shāyad
faqat rusvā.iyāñ likkhī haiñ 'shādāñ' ke muqaddar meñ
rah-e-ulfat meñ chalne kā yahī in.aam hai shāyad