har ek baat pe kyuuñ pech-o-tāb hotā hai
azīzo jurm-e-mohabbat azaab hotā hai
farāz-e-bām pe dekhā hai jab kabhī un ko
nazar meñ beach ruḳh-e-māhtāb hotā hai
faqat ye ishq-o-mohabbat kī ham pe aafat hai
ki jab bhī hotā hai ham par itaab hotā hai
jahāñ pe zulm-o-sitam had se apnī baḌhte haiñ
yaqīn maano vahīñ inqalāb hotā hai
na anjuman meñ Thikāna na apne ghar meñ kahīñ
ḳharāb bazm bhī ḳhāna-ḳharāb hotā hai
savāl-e-ajr-e-mohabbat pe vo bigaḌ baiThā
itaab kartā hai jab lā-javāb hotā hai
sambhal ke baiTh zarā dil ko thaam ai 'shādāñ'
kisī kā husn abhī be-naqāb hotā hai