akelā huuñ magar ābād huuñ maiñ
qafas meñ hī sahī āzād huuñ maiñ
mujhe dil meñ liye vo ghūmtā hai
ki us kī an-kahī fariyād huuñ maiñ
ye duniyā maqtaloñ se kam kahāñ hai
sabhī ke qatl se nāshād huuñ maiñ
mire siine pe kis ke naqsh-e-pā haiñ
ye kis kī zaat se barbād huuñ maiñ
zamāna shauq se suntā hai mujh ko
zamāne se juḌī rūdād huuñ maiñ
qatār-e-marg meñ huuñ sochtā huuñ
ki kis se pahle kis ke baad huuñ maiñ