Zohheb Farooqui Afrang

palaT kar na dekhenge tumko dobara

Zohheb Farooqui Afrang

Lucknow, Uttar pradesh, India

1993
palaT kar na dekheñge tum ko dobāra
chalo ab ye va.ada hai tum se hamārā
maiñ vo to nahīñ huuñ jo hotā rahā huuñ
magar ab na hogā vo honā gavārā
kahīñ fā.eda to nazar hī na aa.e
jahāñ dekhiye bas ḳhasāra ḳhasāra
jo miTTī meñ milnā hai sab ko yahīñ kī
to karte bhī kyoñ ho hamārā tumhārā
hameñ saaf lafzoñ meñ khul kar batāo
samajhte nahīñ ham ishāra-vishāra
ye kyā mājrā hai musībat hai kaisī
jahāñ jaa.eñ nazreñ vahīñ vo nazāra
banāo vo kirdār apnā ki duniyā
ye soche zamīñ par hai koī sitāra
hameñ apne uupar bharosā hai puurā
rakho paas apne tum apnā sahārā
ki mushkil meñ 'afrañg' ye yaad rakhnā
yaqīnan samundar kā hogā kināra
Top Urdushayar.com