Zohheb Farooqui Afrang

KHushk palkon ko tere dar pe bhigone aaya

Zohheb Farooqui Afrang

Lucknow, Uttar pradesh, India

1993
ḳhushk palkoñ ko tire dar pe bhigone aayā
ek muddat se jo royā na thā rone aayā
jāntā huuñ ki nikalnā hai yahāñ se mushkil
aaj āñkhoñ meñ tirī ḳhud ko maiñ khone aayā
jis ke pāpoñ ke liye laakh samundar kam haiñ
ek dariyā meñ gunāhoñ ko vo dhone aayā
zindagī meñ jo sukūñ se na kabhī sotā thā
oḌh kar aaj kafan qabr meñ sone aayā
chhup ke kartā hai daraḳhtoñ ke lahū kā saudā
aap ke sāmne paudoñ ko jo bone aayā
Top Urdushayar.com