teġh shamshīr yā ḳhanjar kī zarūrat kyā hai
jañg jab ḳhud se ho lashkar kī zarūrat kyā hai
jis ne samjhā mujhe bāhar se hī samjhā sāhab
kis ko ma.alūm ki andar kī zarūrat kyā hai
gar tirā qurb mayassar ho to ai jān-e-adā
sard rātoñ meñ bhī bistar kī zarūrat kyā hai
bevafā.ī kā tirī zaḳhm koī kam to nahīñ
choT denī ho to patthar kī zarūrat kyā hai
qaid rakhtā hai jo tūfān ko apne andar
aise qatre ko samundar kī zarūrat kyā hai
us ko sajda to zamīñ arsh sabhī karte haiñ
us ke qadmoñ ko mire sar kī zarūrat kyā hai