Zohheb Farooqui Afrang

shikayat karen kya shikayat se kya ho

Zohheb Farooqui Afrang

Lucknow, Uttar pradesh, India

1993
shikāyat kareñ kyā shikāyat se kyā ho
agar jañg lāzim hai to hausla ho
bashar kā to itnā na dil saaf hogā
tum insāñ kī sūrat meñ jaise ḳhudā ho
ye sarkash samundar nikal pāoge jab
junūñ saañs lene kā sar par chaḌhā ho
mohabbat meñ ho to bas itnā kahūñgā
maza chaar din kā hai lambī sazā ho
koī har musībat se ham ko nikāle
asar kar rahī dostoñ kī duā ho
ye parvāz kā ḳhvāb achchhā hai lekin
zarā pahle qadmoñ pe apne khaḌā ho
siyāsat se ham ko tumheñ kyā milegā
ye dhanda hai jis kā usī kā bhalā ho
tabassum ki pīchhe kahīñ kuchh chhupā hai
hameñ sab patā hai tum ham se ḳhafā ho
abhī jo bhī miltā hai taslīm kar lo
phir aage safar meñ na jaane ki kyā ho
Top Urdushayar.com