Zohheb Farooqui Afrang

nind raaton ki mere yar uDati hai ghazal

Zohheb Farooqui Afrang

Lucknow, Uttar pradesh, India

1993
niiñd rātoñ kī mire yaar uḌātī hai ġhazal
sub.h tak ek ġhazal-go ko jagātī hai ġhazal
log kahte haiñ ġhazal kahnā koī kaam nahīñ
kyā ḳhabar un ko ki kis kaam meñ aatī hai ġhazal
raat jab paas mire koī nahīñ hotā hai
mujh ko siine se lagā kar ke sulātī hai ġhazal
ek misra ki koī sher atā kar ke mujhe
apne chakkar meñ ka.ī roz ghumātī hai ġhazal
Thiik se gar ye likhī jaa.e paḌhī jaa.e yahāñ
ek insān ko insān banātī hai ġhazal
Top Urdushayar.com