Pramod Sharma Asar

hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

Pramod Sharma Asar

Delhi, India

1957
hameñ taqsīm karne kā hunar un par nirālā hai
magar un ko harāne kā irāda ham ne paalā hai
zamāne bhar ke ranj-o-ġham kabhī mujh ko diye us ne
kabhī jab laḌkhaḌāyā to mujhe baḌh kar sambhālā hai
makhoTe vo sadā jhūTe lagā kar ham se hai miltā
bahut shātir paḌosī hai janam se dekhā-bhālā hai
kiyā jo bazm meñ zikr-e-vafā un kī to vo bole
nahīñ jo mudda.ā us baat ko phir kyuuñ uchhālā hai
kisī se qarz le kar shahar ko phir jā.egā 'hariyā'
adālat ne jo is kā faisla hī kal pe Taalā hai
bike haiñ log dene ko gavāhī jhuuT ke haq meñ
magar sach jānte haiñ jo unhīñ ke muñh pe taalā hai
burā.ī ḳhatm karne ko buroñ kā haath bhī thāmā
'asar' kāñTe se ham ne paaoñ kā kāñTā nikālā hai
Top Urdushayar.com