Rajendra Kalkal

KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina

Rajendra Kalkal

Imlota, Haryana, India

1967
ḳhvāb āñkhoñ ko hamārī jo dikhā.e aa.ina
ḳhuun ke aañsū vahī ham ko rulā.e aa.ina
aadmī kī fitrateñ jaise samajhtā ho sabhī
aadmī ke saath aise muskurā.e aa.ina
bāñTanā to chāhtā hai dukh buzurgoñ ke magar
jhurriyoñ ko kis tarah un kī chhupā.e aa.ina
aa.ine ke sāmne se koī to haTtā nahīñ
aur kisī ko ḳhvāb tak ye Darā.e aa.ina
ġham nahīñ be-shak bikhar jaa.e kisī din TuuT kar
jhuuT ke aage na sar hargiz jhukā.e aa.ina
bol kar sach kaun kitne din salāmat rah sakā
Dar ke saa.e meñ hayāt apnī bitā.e aa.ina
vaqt chehre par jab us ke likh gayā nākāmiyāñ
kaise vo dīvār par 'kalkal' sajā.e aa.ina
Top Urdushayar.com