Rajendra Kalkal

dukh se ghairon ke pighalta kaun hai

Rajendra Kalkal

Imlota, Haryana, India

1967
dukh se ġhairoñ ke pighaltā kaun hai
ḳhud se bāhar ab nikaltā kaun hai
barf sī tāsīr sab kī ho ga.ī
zulm sah kar ab ubaltā kaun hai
ġhair ko hī sab badalne meñ rahe
apnī fitrat ko badaltā kaun hai
chhoḌ do us ko usī ke haal par
ishq meñ paḌ kar sambhaltā kaun hai
zindagī bhar jo na khaa.e Thokareñ
khol kar āñkheñ yuuñ chaltā kaun hai
duur mujh se ho gayā bachpan magar
mujh meñ bachche sā machaltā kaun hai
ḳhvāhishoñ par qaid 'kalkal' kyuuñ lage
umr ke sāñche meñ Dhaltā kaun hai
Top Urdushayar.com