kuchh had bhī ai falak sitam-e-nā-ravā kī hai
har saañs dāstāñ tire jaur-o-jafā kī hai
hājat-ravā kī aur na zarūrat duā kī hai
ab chhoḌ chārasāz jo marzī ḳhudā kī hai
dāmān-e-zabt chaak to kar de junūñ magar
tauhīn ye mire dil-e-ġham-āshnā kī hai
ḳhūn-e-hayāt ḳhūn-e-tarab ḳhūn-e-ārzū
ye sharah-e-muḳhtasar mirī umr-e-vafā kī hai
ġhairat ne merī ḳhud hī safīna Dubo diyā
dekhā nazar phirī huī kuchh nāḳhudā kī hai
barbādiyoñ se dars-e-baqā le rahī huuñ maiñ
ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-balā kī hai
irfān-e-ġham se nafs kā irfāñ huā nasīb
sīḌhī ye pahlī ma.arifat-e-kibriyā kī hai
ham se ḳhizāñ-nasīb qafas meñ bhī shaad haiñ
laa.ī jo bū-e-gul ye ināyat sabā kī hai
ḳhuddāriyoñ ne ziist ko āsāñ banā diyā
betābiyoñ kī ḳhū hai na āh-o-bakā kī hai
maanā ki tujh ko aish kī jannat nasīb hai
tahqīr-e-ġham na kar ki ye ne.amat ḳhudā kī hai
is zindagī ne saath kisī kā nahīñ diyā
kis bevafā se tujh ko tamannā vafā kī hai
kashtī ko merī maujoñ se pahuñchā nahīñ guzar
minnat-gudāz ye karam-e-nāḳhudā kī hai
'maḳhfī' panāh-e-chādar-e-zehrā na chhoḌnā
ta.alīm-e-nau sunā hai ki dushman hayā kī hai