Pramod Sharma Asar

nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se

Pramod Sharma Asar

Delhi, India

1957
nahīñ miTtīñ tirī yādeñ nadī meñ ḳhat bahāne se
ye akasr lauT aatī haiñ kisī dilkash bahāne se
bhulā paayā nahīñ maiñ daur-e-māzī ke hasīñ lamhe
kabhī tū yaad bhī kar le ta.alluq ye purāne se
namak-pāshī zamāne ne mire zaḳhmoñ pe kī paiham
magar maiñ baaz kab aayā huuñ phir bhī muskurāne se
tumheñ jis ke liye ham ne chunā vo kaam bhī karnā
mile tum ko agar fursat hamārā ghar jalāne se
muqābil aa.ine ke aa gayā hai bhuul se shāyad
mujhe lagtā hai kuchh aisā hī us ke tilmilāne se
qafas ko toḌne kī ab ke us ne bhī to Thānī hai
yahī paiġhām miltā hai paroñ ko phaḌphaḌāne se
mujhe ma.alūm hai hargiz palaT kar aa nahīñ saktā
guzārish hai magar merī 'asar' guzre zamāne se
Top Urdushayar.com