Suhail Akhtar

ki KHud-numai na tashhir chahte hain hum

Suhail Akhtar

ki ḳhud-numā.ī na tash.hīr chāhte haiñ ham
bas apne hone kī tauqīr chāhte haiñ ham
rihā.ī kā yahī mafhūm hai hamāre liye
pasand kī koī zanjīr chāhte haiñ ham
ye dekhnā hai ki raftār kar rahī hai kyā
tamām shahr ko tasvīr chāhte haiñ ham
bahut udaas hai koī paḌos meñ yaaro
zarā sī jashn meñ tāḳhīr chāhte haiñ ham
zarā sī baat jo chheḌī huqūq kī ham ne
uThā ye shor ki jāgīr chāhte haiñ ham
hameñ banāyā gayā hai hadaf ye jānte haiñ
to kyuuñ nishāne pe har tiir chāhte haiñ ham
ye toḌ-phoḌ zarūrat hai koī shauq nahīñ
na.e sire se jo ta.amīr chāhte haiñ ham
bas ek qāfiya-paimā.ī ham ne kī hai 'suhail'
so ai ġhazal tirī ta.azīr chāhte haiñ ham
Top Urdushayar.com