Suhail Akhtar

ye raaz usne chhupaya hai KHush-bayani se

Suhail Akhtar

ye raaz us ne chhupāyā hai ḳhush-bayānī se
ki merā zikr bhī ġhā.eb hai ab kahānī se
meñ ḳhvāhishoñ ke namak kā huuñ Dher mat pūchho
jo merā ḳhauf hai jazboñ ke bahte paanī se
ġhurūr toḌnā maiñ chāhtā huuñ dariyā kā
badal de tū mirī luknat ko ab ravānī se
suḳhan meñ kuchh nahīñ e.ajāz kī tamannā hai
so arz karne lage ham bhī be-zabānī se
maiñ hiirā to nahīñ poshīda ko.ele meñ kahīñ
kabhī kabhī to lage Dar bhī be-nishānī se
pahāḌ jaise dinoñ ko to kaaT luuñ lekin
nikal na pā.ūñ maiñ ik raat kī girānī se
jo kaam jabr kī āñdhī bhī kar nahīñ paatī
vo kaam hotā hai ḳhāmosh mehrbānī se
mazā liyā gayā āvārgī kā ḳhuub 'suhail'
malūl maiñ na huā apnī be-makānī se
Top Urdushayar.com