Suhail Akhtar

KHizan ki aazmaish ho gaya hun

Suhail Akhtar

ḳhizāñ kī āzmā.ish ho gayā huuñ
maiñ ik jañgal kī chāhat meñ harā huuñ
mirī kashtī kabhī ġharqāb kī thī
abhī tak maiñ samundar se ḳhafā huuñ
parinde ho ga.e nārāz mujh se
kahā jab maiñ bhī uḌnā chāhtā huuñ
koī vahshat se bhī milvā.e mujh ko
maiñ sahrā meñ abhī bilkul nayā huuñ
abhī ik raushnī aa.ī thī milne
sabab kyā hai ki maiñ bujhne lagā huuñ
yahāñ ke peḌ saare dam-ba-ḳhud haiñ
ġhazab hai maiñ hī kaaTā jā rahā huuñ
koī paanī meñ kab tak rah sakegā
maiñ ashkoñ se to āñkhoñ tak bharā huuñ
Top Urdushayar.com