jab koī ālam-e-shuhūd na thā
maiñ bhī ik ḳhvāb thā vajūd na thā
apnī taḳhlīq se huā mahdūd
varna maiñ jāntā hudūd na thā
mujh meñ bhī lau thī aag thī pahle
merā sarmāya sirf duud na thā
jaane us ne mujhe ḳharīdā kyuuñ
maiñ ziyāñ hī ziyāñ thā suud na thā
tarz-e-iz.hār ne kiyā maḳhsūs
ḳhaas ash.ār kā varūd na thā
ik asīrī yahāñ thī shart-e-shanāḳht
aur maiñ banda-e-quyūd na thā
tujh se rañgīnī-e-jahāñ hai 'suhail'
pahle ye rañg-e-hast-o-būd na thā