in dinoñ tez bahut tez hai dhārā merā
donoñ jānib se hī kaTtā hai kinārā merā
sard ho jaatī hai har aag bil-āḳhir ik din
dekhiye zinda hai kab tak ye sharāra merā
nafa.a-dar-nafa.a se bhī kyā kabhī zaa.il hogā
ruuh par bojh banā hai jo ḳhasāra merā
hai ye aalam ki nahīñ ḳhud ko mayassar maiñ bhī
kaise ab hotā hai mat pūchh guzārā merā
yahī chakkar mujhe markaz se alag rakhtā hai
ḳhush-nasībī hai ki gardish meñ hai taarā merā
merī majbūrī hai lafzoñ meñ nahīñ kah saktā
aur samajhtā hī nahīñ koī ishāra merā
ḳhaas number ka.ī baaqī haiñ murattab karne
hai jahāñ terā bas ik aam ishāra merā
log hairat hai samajhte haiñ mujhe ġhairat-mañd
bāt-be-bāt jo chaḌh jaatā hai paara merā
vo nazar ho jo mujhe chaak hī kar Daale 'suhail'
varna khulne kā nahīñ ramz-e-nazāra merā