chhupā kar apnī kartūteñ hunar kī baat karte haiñ
shajar ko kāTne vaale samar kī baat karte haiñ
jale haiñ jo nasheman raakh par un kī khaḌe ho kar
jinhoñ ne phūñk Daale ghar vo ghar kī baat karte haiñ
anāsir jis ke the mehr-o-vafā shafqat adab ġhairat
unheñ jo bhuul baiThā us bashar kī baat karte haiñ
ghire haiñ muddatoñ se jo añdheroñ meñ masā.ib ke
nahīñ aatī kabhī jo us sahar kī baat karte haiñ
sabhī se bazm meñ hañs kar milī be-sāḳhta lekin
nahīñ ham par paḌī jo us nazar kī baat karte haiñ
hue taqsīm jab se dushmanī qaa.em bhī hai lekin
udhar vaale hamārī ham udhar kī baat karte haiñ
nahīñ hai rābta jin kā 'asar' pairoñ ke chhāloñ se
gharoñ se jo nahīñ nikle safar kī baat karte haiñ