Suhail Akhtar

zaruri kab hai ki har kaam iKHtiyari karen

Suhail Akhtar

zarūrī kab hai ki har kaam iḳhtiyārī kareñ
ab apne-āp ko itnā na ḳhud pe taarī kareñ
ye injimād bhī TūTegā dekhnā ik din
ham e'timād se pahle to ḳhud ko jaarī kareñ
koī bhī khel ho hairān ab nahīñ kartā
na jaane kaun se kartab na.e madārī kareñ
bulāvā arsh se aatā hai gar to aatā rahe
jo ḳhāk-zāde hī Thahre to ḳhāksārī kareñ
hai tishnagī se taḳhayyul meñ tāqat-e-parvāz
huzūr mujh ko na sairābiyoñ se bhārī kareñ
kasīf ham haiñ sarāsar magar latīf hai vo
to us ke vāste kyā ḳhud ko ḳhud se aarī kareñ
lagām khīñch ke baiThe haiñ be-niyāz se ham
samand-e-shauq kī ab chāhe jo savārī kareñ
atā kiyā gayā sahrā is ek shart ke saath
'suhail' ham na kabhī vahshatoñ se yaarī kareñ
Top Urdushayar.com