sirf thoḌī sī hai anā mujh meñ
varna baaqī hai bas ḳhalā mujh meñ
andar andar mujhe ye khātī hai
ek bhūkī sī hai balā mujh meñ
Dhah rahā huuñ maiñ ik khañDar kī tarah
ik bhaTaktī hai aatmā mujh meñ
ab har ik baat par maiñ raazī huuñ
jaane ye kaun mar gayā mujh meñ
merī āvārgī se ghabrā kar
muḌ gayā merā rāsta mujh meñ
dekh kar mujh ko is qadar ḳhāmosh
ek dariyā utar gayā mujh meñ
maiñ ne qaabū meñ us ko rakkhā hai
vo jo rahtā hai sar-phirā mujh meñ
maiñ thā aisā kahāñ 'suhail' kabhī
ab to hai koī dūsrā mujh meñ