is zamīn o āsmāñ par ḳhaak Daal
kuchh nahīñ terā yahāñ par ḳhaak Daal
naqsh hone kī tirī sūrat hai aur
is vajūd-e-be-nishāñ par ḳhaak Daal
ḳhatm sab kuchh haar se hotā nahīñ
uTh aur ehsās-e-ziyāñ par ḳhaak Daal
dard jab samjhe tirā vo be-zabāñ
ārzū-e-ham-zabāñ par ḳhaak Daal
is makānī qaid se bāhar nikal
is zamān o lā-zamāñ par ḳhaak Daal
tū bharam hai aur na koī vahm hai
chhoḌ maayā ke jahāñ par ḳhaak Daal
in asātīrī fazāoñ se nikal
is tilism-e-dāstāñ par ḳhaak Daal
is se pahle har yaqīñ ho gard gard
har qayās aur har gumāñ par ḳhaak Daal