Suhail Akhtar

jannat se nikala na jahannum se nikala

Suhail Akhtar

jannat se nikālā na jahannum se nikālā
us ne to mujhe ḳhosha-e-gandum se nikālā
rakhā hai mujhe aaj talak mauj meñ us ne
jis lahar ko girdāb-o-talātum se nikālā
ye bhuul hī baiThā thā zabāñ rakhtā huuñ maiñ bhī
so ḳhud ko tire sahr-e-takallum se nikālā
is ādat-e-tāḳhīr ko ik umr hai darkār
mushkil se tabī.at ko taqaddum se nikālā
tadbīr ko taqdīr kī ġhaflat se jagāyā
ummīd ko bhī tohmat-e-anjum se nikālā
lagtā thā nikal hī nahīñ pā.ūñgā 'suhail' ab
us ne to mujhe ek tabassum se nikālā
Top Urdushayar.com