hamāre jaise hī logoñ se shahr bhar ga.e haiñ
vo log jin kī zarūrat thī saare mar ga.e haiñ
gharoñ se vo bhī sadā de to kaun niklegā
hai din kā vaqt abhī log kaam par ga.e haiñ
ki aa ga.e haiñ tirī shor-o-shar kī mahfil meñ
ham apnī apnī ḳhamoshī se kitnā Dar ga.e haiñ
unhīñ se siikh leñ tahzīb raah chalne kī
jo raah dene kī ḳhātir hamīñ Thahar ga.e haiñ
sabhī ko karte haiñ mil-jul ke rahne kī talqīn
kuchh apne aap meñ ham is qadar bikhar ga.e haiñ
nahīñ qubūl hameñ kāmyābī kā ye junūn
ye jānte bhī haiñ nākāmiyoñ pe sar ga.e haiñ
to kyuuñ satātī hai bigḌe dinoñ kī yaad ki ham
musālahat huī duniyā se ab sudhar ga.e haiñ
havā-e-dasht yahāñ kyuuñ hai itnā sannāTā
vo tere saare divāne batā kidhar ga.e haiñ