junūn-e-ishq-e-sar bedār bhī hai
ġhurūr-e-bāda-e-sarshār bhī hai
ḳhayāl-e-turra-e-shab-rañg mujh ko
kabhī ik sāya-e-dīvār bhī hai
mujhe taslīm ye gardūñ-rakābī
bulandī ik farāz-e-dār bhī hai
ye asr-e-nau kā shauq-e-chāra-sāzī
pa.e-darmāñ ġham-e-bīmār bhī hai
tamīz-e-ḳhār-o-gul dastūr-e-gulchīñ
nigāh-e-bāġhbāñ meñ ḳhaar bhī hai
chaman meñ khul ga.iiñ nargis kī āñkheñ
bayān-e-ḳhvāb meñ jhankār bhī hai