maiñ jo tujh se milā nahīñ hotā
ye mirā martaba nahīñ hotā
jo muqaddar meñ thā milā tujh ko
sab ko sab kuchh atā nahīñ hotā
chhīn mat haq tū apne chhoToñ kā
aadmī yuuñ baḌā nahīñ hotā
log yuuñ to gale lagāte haiñ
pyaar dil meñ zarā nahīñ hotā
saath detā jo tū safar phir ye
itnā mushkil-bharā nahīñ hotā
haal paḌh letā maañ ke chehre se
vo jo likkhā-paḌhā nahīñ hotā
ġhaflatoñ meñ 'asar' na hotā tū
tiir us kā ḳhatā nahīñ hotā