Sajjad Babar

dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna

Sajjad Babar

1939-1918
dhīmī bārish kī lai meñ ahvāl sunāte rahnā
us kā ek jharoke meñ phir shaal sukhāte rahnā
jaane kis kī yaad aatī hai sāhil sāhil jā kar
ret pe zaḳhmī poroñ se ashkāl banāte rahnā
rabt ik shai kaliyoñ se komal aur havā.eñ mūrakh
TuuTe us ke taar to kyā sur-tāl milāte rahnā
kyā jaane kab lamhoñ kī mafrūr samā.at lauTe
achchhī achchhī āvāzoñ ke jaal bichhāte rahnā
apnī to mīrās yahī hai raat gavāhī degī
din ke aariz shaam savere laal banāte rahnā
us ne to aate rahnā hai sehn meñ ram karne ko
roz ġhazāl-e-dard ke māthe ḳhaal lagāte rahnā
Top Urdushayar.com