jhūTā hai jāntā huuñ magar is ke bāvajūd
raunaq lagā.e rakhtā hai ik ḳhvāb kā vajūd
us ne kitāb khol ke rakh dī hai shelf meñ
merī qabā-e-vasl ko kab mil sakā vajūd
is baat se hī dekh leñ qurbat hamāre beach
pahnā hai maiñ ne ruuh pe us shaḳhs kā vajūd
phir maiñ karūñ na naaz kyuuñ apnī baḌā.ī par
yazdāñ ne apne haath se sīñchā mirā vajūd
us meñ har ek baat hai par boltā nahīñ
paayā hai mere yaar ne tasvīr sā vajūd
kaise karegā sāmnā duniyā kā ab kamāl
zillat kī gahrī khaa.ī meñ pheñkā gayā vajūd