jaltī havā.eñ kah ga.iiñ azm-e-sabāt chhoḌ de
terā badan pighal gayā dast-e-hayāt chhoḌ de
aag se khel khel kar kitne jalā liye haiñ haath
tujh se kahā thā bārhā dekh ye baat chhoḌ de
maiñ tere saath huuñ magar ye vo maqām hai ki ab
jo tere jī meñ aa.e kar jā merī baat chhoḌ de
terī nazar sarāb par mujh ko aziiz gard-e-rāh
tū merā ham-safar nahīñ to merā haath chhoḌ de
tishna laboñ ko chuum kar koī to ho jo ye kahe
lashkar-e-maslihat-shanās haT jā furāt chhoḌ de
mārka-e-balā kī shab kis ne kahā ba-sad-ḳhulūs
vo bhī mujhe aziiz hai jo merā saath chhoḌ de