udhḌe hue malbūs kā parcham sā gayā hai
bāzār se phir aaj koī ham sā gayā hai
jhoñkā thā magar chheḌ ke guzrā hai kuchh aise
jaise tire paikar kā koī ḳham sā gayā hai
chhoḌūñ ki miTā Dālūñ isī soch meñ gum huuñ
ā.īne pe ik qatra-e-ḳhūñ jam sā gayā hai
gāloñ pe shafaq phūltī dekhī nahīñ kab se
lagtā hai ki jismoñ meñ lahū tham sā gayā hai
āñkhoñ kī tarah dil bhī barābar rahe kaḌve
in tañg makānoñ meñ dhuāñ jam sā gayā hai
'sajjād' vahī aaj kā shā.ir hai jo pal meñ
bijlī kī tarah kauñd ke shabnam sā gayā hai