Sajjad Babar

ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe

Sajjad Babar

1939-1918
ik dard sab ke dard kā maz.har lagā mujhe
dariyā samundaroñ kā shanāvar lagā mujhe
mujh ko ḳhalā ke paar se aatī hai ik sadā
ai rahrav-e-ḳhayāl zarā par lagā mujhe
ye aur baat maiñ ne khañgālā inheñ bahut
in pāniyoñ se Dar hai barābar lagā mujhe
zaḳhmī ufuq dhueñ kī kamand ūñghte daraḳht
manzar kī zad meñ aa ke baḌā Dar lagā mujhe
vo din kahāñ ki us ko sar-e-shām dekh luuñ
pichhle pahar kā chāñd muqaddar lagā mujhe
us kī jabīñ pe dekhā to 'sajjād' kyā kahūñ
dhabba bhī raushnī kā samundar lagā mujhe
Top Urdushayar.com