Sajjad Babar

lafz ka kitna taqaddus hai ye kab jaante hain

Sajjad Babar

1939-1918
lafz kā kitnā taqaddus hai ye kab jānte haiñ
log bas baat banā lene kā Dhab jānte haiñ
apnī pahchān bhalā Dolte lafzoñ meñ kahāñ
zabt kā nashsha larazte hue lab jānte haiñ
sab ne gul-kārī-e-dīvār-e-sarā hī lekin
kitne dīvār uThāne kā sabab jānte haiñ
shahr vaale to havāoñ meñ ghule zahr kā haal
rañg tasvīr se uḌ jaate haiñ tab jānte haiñ
aap chāheñ to use josh-e-numū kah liije
ham magar barf sulagne kā sabab jānte haiñ
dhuup kā aks bhī 'sajjād' faqat saaya hai
kis tarah din meñ samā jaatī hai shab jānte haiñ
Top Urdushayar.com