shā.irī ruuh meñ tahlīl nahīñ ho paatī
ham se jazbāt kī tashkīl nahīñ ho paatī
ham mulāzim haiñ magar thoḌī anā rakhte haiñ
ham se har hukm kī ta.amīl nahīñ ho paatī
āsmāñ chhīn liyā kartā hai saarā paanī
aañkh bhartī hai magar jhiil nahīñ ho paatī
shaam tak TuuT ke har roz bikhar jaatā huuñ
yaas ummīd meñ tabdīl nahīñ ho paatī
rāt-bhar niiñd ke sahrā meñ bhaTaktā huuñ magar
sub.h tak ḳhvāb kī takmīl nahīñ ho paatī