Shakeel Azmi

zinda rahna hai to sanson ka ziyan aur sahi

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
zinda rahnā hai to sāñsoñ kā ziyāñ aur sahī
raushnī ke liye thoḌā sā dhuāñ aur sahī
sub.h kī shart pe manzūr haiñ rāteñ ham ko
phuul khilte hoñ to kuchh roz ḳhizāñ aur sahī
ḳhvāb tābīr kā hissa hai to so kar dekheñ
sach ke idrāk meñ ik shahr-e-gumāñ aur sahī
vo barush aur maiñ rotā huuñ qalam se apne
dard to ek haiñ donoñ ke zabāñ aur sahī
kaT ga.e apnī hī miTTī se to jaldī kyā hai
ab zamīñ aur sahī aur makāñ aur sahī
Top Urdushayar.com