raaz meñ rakh tirī rusvā.ī kā qissa maiñ huuñ
mujh ko pahchān tirā dūsrā chehra maiñ huuñ
dafan haiñ tere ka.ī raaz mire siine meñ
jo tire ghar se guzartā hai vo rasta maiñ huuñ
muddatoñ ba.ad bhī jaarī hai azāboñ kā safar
qatra qatra tirī āñkhoñ se Tapaktā maiñ huuñ
aa zarā baiTh mire paas bhī kuchh pul ke liye
mere hamdam tirī dīvār kā saaya maiñ huuñ
ab bhī zinda huuñ tirī ruuh meñ ġham kī sūrat
kaun kahtā hai ki TuuTā huā rishta maiñ huuñ
mujh ko pūjegī tah-e-ḳhāk jo duniyā hai 'shakīl'
kal jo TuuTā thā falak se vo sitāra maiñ huuñ