Shakeel Azmi

tawil hijr hai ek muKHtasar visal ke baad

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
tavīl hijr hai ik muḳhtasar visāl ke ba.ad
meñ aur ho gayā tanhā tire ḳhayāl ke ba.ad
tapish ik aur hai din kī harārtoñ ke sivā
safar ik aur hai sūraj tire zavāl ke ba.ad
kisī se rakhte kahāñ dushmanī kā rishta ham
lahū ko sard bhī honā thā ik ubaal ke ba.ad
jo toḌnā hai to dil is adā se toḌ mirā
koī malāl na ho mujh ko is malāl ke ba.ad
zarā bhī soch na paayā maiñ apne baare meñ
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke ba.ad
kahāñ ga.ī vo mohabbat ki jis ke saa.e meñ
lipaT ke ro.e the ham donoñ arz-e-hāl ke ba.ad
ye dil kī baat hai saudā-garī nahīñ yaaro
kisī ne kī hai mohabbat bhī dekh-bhāl ke ba.ad
'shakīl' band huā ham pe is kā darvāza
kabhī savāl se pahle kabhī savāl ke ba.ad
Top Urdushayar.com