Shakeel Azmi

apni hasti ko miTa dun tere jaisa ho jaun

Shakeel Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1971
apnī hastī ko miTā duuñ tire jaisā ho jā.ūñ
is tarah chāhūñ tujhe maiñ tirā hissa ho jā.ūñ
pā.eleñ bāñdh ke bārish kī karūñ raqs-e-junūñ
tū ghaTā ban ke baras aur maiñ sahrā ho jā.ūñ
duur tak Thahrā huā jhiil kā paanī huuñ maiñ
terī parchhā.īñ jo paḌ jaa.e to dariyā ho jā.ūñ
shahr-dar-shahr mire ishq kī naubat baaje
maiñ jahāñ jā.ūñ tire naam se rusvā ho jā.ūñ
aadmī ban ke bahut maiñ ne tujhe sajde kiye
to ḳhudā ban ke mujhe mil maiñ farishta ho jā.ūñ
is tarah mil ki bichhaḌne kā tasavvur na rahe
is tarah maañg mujhe tū ki maiñ terā ho jā.ūñ
itnā bīmār ki sāñsoñ se dhuāñ uThtā hai
aa tujhe dekh luuñ aur dekh ke achchhā ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com