raah meñ ghar ke ishāre bhī nahīñ nikleñge
chāñd Duubā to sitāre bhī nahīñ nikleñge
Dūbne ke liye sāhil pe khaḌā huuñ maiñ bhī
bandisheñ toḌ ke dhāre bhī nahīñ nikleñge
Thahar ai sail-e-ravāñ varna ye bastī hī nahīñ
tere ġharqāb kināre bhī nahīñ nikleñge
merī bastī baḌī muflis hai magar ai hātim
log yuuñ haath pasāre bhī nahīñ nikleñge
tum ajab log ho āñgan ke liye rote ho
ab makānoñ meñ usāre bhī nahīñ nikleñge
raat bhar jaag ke ham ne jo kamā.ī kī hai
us se to din ke ḳhasāre bhī nahīñ nikleñge
tum bhī 'ġhālib' kī tarah laakh jatan kar lo 'shakīl'
saare armān tumhāre bhī nahīñ nikleñge